ye sargoshiyan kah rahi hain ab aao ki barson se tum ko bulate bulate mere dil pe gahri thakan chha rahi hai kabhi ek pal ko kabhi ek arsa sadaen suni hain magar ye anokhi nida aa rahi hai bulate bulate to koi na ab tak thaka hai na aainda shayad thakega mere pyare bachche mujhe tum se kitni mohabbat hai dekho agar yun kiya to bura mujh se badh kar na koi bhi hoga khudaya khudaya kabhi ek siski kabhi ek tabassum kabhi sirf tewari magar ye sadaen to aati rahi hain inhi se hayat-e-do-roza abad se mili hai magar ye anokhi nida jis pe gahri thakan chha rahi hai ye har ek sada ko mitane ki dhamki diye ja rahi hai ab aankhon mein jumbish na chehre pe koi tabassum na tewari faqat kan sunte chale ja rahe hain ye ek gulistan hai hawa lahlahati hai kaliyan chatakti hain ghunche mahakte hain aur phul khilte hain khil khil ke murjha ke girte hain ek farsh-e-makhmal banate hain jis par meri aarzuon ki pariyan ajab aan se yun rawan hain ki jaise gulistan hi ek aaina hai isi aaine se har ek shakl nikhri sanwar kar miti aur mit hi gai phir na ubhri ye parbat hai khamosh sakin kabhi koi chashma ubalte hue puchhta hai ki us ki chatanon ke us par kya hai magar mujh ko parbat ka daman hi kafi hai daman mein wadi hai wadi mein naddi hai naddi mein bahti hui naw hi aaina hai isi aaine mein har ek shakl nikhri magar ek pal mein jo mitne lagi hai to phir na ubhri ye sahra hai phaila hua khushk be-barg sahra bagule yahan tund bhuton ka aks-e-mojassam bane hain magar main to dur ek pedon ke jhurmut pe apni nigahen jamae hue hun na ab koi sahra na parbat na koi gulistan ab aankhon mein jumbish na chehre pe koi tabassum na tewari faqat ek anokhi sada kah rahi hai ki tum ko bulate bulate mere dil pe gahri thakan chha rahi hai bulate bulate to koi na ab tak thaka hai na shayad thakega to phir ye nida aaina hai faqat main thaka hun na sahra na parbat na koi gulistan faqat ab samundar bulata hai mujh ko ki har shai samundar se aai samundar mein ja kar milegi