kabhi munh se aawaz hathon se qismat aur aankhon se pahli masarrat ka pani gire to use mat uthana kabhi raat ki shaal se chand salon ki mutthi se khushbu zaminon ki jholi se khurak aur dil se qurbat ki khwahish gire to use uthana kabhi sham ke ghonsle se parinda fajr se ibaadat ka chogha pahadon se sarma ka pahla meinh gire to use mat uthana kabhi aasmanon se harf-e-munajat shahin ki aankhon se aansu hawaon se lambe safar ki hikayat ghulamon ke daman se aazad subhon ki saat gire to use mat uthana kabhi panw se hausla aam ke ped se baur bachchon ki mutthi se lori aur faslon pe phaili hui dhup kat kar gire to use mat uthana nigah apne dushman pe rakhna safar ko amanat samajhna aur aasab jhukne na dena ki sab chizen apne se behtar ko apni jagah de gai hain