dard-o-gham-e-hayat ka darman chala gaya wo khizr-e-asr-o-isa-e-dauran chala gaya hindu chala gaya na musalman chala gaya insan ki justuju mein ek insan chala gaya raqsan chala gaya na ghazal-khwan chala gaya soz-o-gudaz o dard mein ghaltan chala gaya barham hai zulf-e-kufr to iman sar-nigun wo fakhr-e-kufr o nazish-e-iman chala gaya bimar zindagi ki kare kaun dil-dahi nabbaz o chaarasaz-e-marizan chala gaya kis ki nazar padegi ab isyan pe lutf ki wo mahram-e-nazakat-e-isyan chala gaya wo raaz-dar-er-mahfil-e-yaran nahin raha wo gham-gusar-e-bazm-e-arifan chala gaya ab kafiri mein rasm-o-rah-e-dilbari nahin iman ki baat ye hai ki iman chala gaya ek be-khud-e-surur-e-dil-o-jaan nahin raha ek aashiq-e-sadaqat-e-pinhan chala gaya ba-chashm-e-nam hai aaj zulekha-e-kaenat zindan-shikan wo yusuf-e-zindan chala gaya ai aarzu wo chashma-e-haiwan na kar talash zulmat se wo chashma-e-haiwan chala gaya ab sang-o-khisht o khak o khazaf sar-buland hain taj-e-watan ka lal-e-darakhshan chala gaya ab ahrman ke hath mein hai tegh-e-khun-chakan khush hai ki dast-o-bazu-e-yazdan chala gaya dew-e-badi se mark-e-sakht hi sahi ye to nahin ki zor-e-jawanan chala gaya kya ahl-e-dil mein jazba-e-ghairat nahin raha kya azm-e-sar-faroshi-e-mardan chala gaya kya baghiyon ki aatish-e-dil sard ho gai kya sarkashon ka jazba-e-pinhan chala gaya kya wo junun-o-jazba-e-bedar mar gaya kya wo shabab-e-hashr-badaman chala gaya khush hai badi jo dam ye neki pe dal ke rakh denge hum badi ka kaleja nikal ke
Please share if you liked this!!!