saman diwali ka

har ek makan mein jala phir diya diwali ka
har ek taraf ko ujala hua diwali ka
sabhi ke dil mein saman bha gaya diwali ka
kisi ke dil ko maza khush laga diwali ka
ajab bahaar ka hai din bana diwali ka
jahan mein yaro ajab tarah ka hai ye tyauhaar
kisi ne naqd liya aur koi kare hai udhaar
khilaune khelon batashon ka garm hai bazar
har ek dukan mein charaghon ki ho rahi hai bahaar
sabhon ko fikr hai ab ja-ba-ja diwali ka
mithaiyon ki dukanen laga ke halwai
pukarte hain ki la la! diwali hai aai
batashe le koi barfi kisi ne tulwai
khilaune walon ki in se ziyaada bin aai
goya unhon ke wan raj aa gaya diwali ka
siraf haram ki kaudi ka jin ka hai bewpar
unhon ne khaya hai is din ke waste hai udhaar
kahe hai hans ke qaraz-khwah se har ek ek bar
diwali aai hai sab de dilaenge ai yar
khuda ke fazl se hai aasra diwali ka
makan lep ke thaliya jo kori rakhawai
jala charagh ko kaudi wo jald jhankai
asal juari the un mein to jaan si aai
khushi se kud uchhal kar pukare o bhai
shugun pahle karo tum zara diwali ka
shagun ki bazi lagi pahle yar gande ki
phir us se badh ke lagi tin chaar gande ki
phiri jo aisi tarah bar bar gande ki
to aage lagne lagi phir hazar gande ki
kamal nirkh hai phir to laga diwali ka
kisi ne ghar ki haweli giro rakha haari
jo kuchh thi jins mayassar bana bana haari
kisi ne chiz kisi kisi ki chura chhupa haari
kisi ne gathri padosan ki apni la haari
ye haar jit ka charcha pada diwali ka
kisi ko daw pe lanakki muth ne mara
kisi ke ghar pe dhara sokhta ne angara
kisi ko nard ne chaupad ke kar diya zara
langoti bandh ke baitha izar tak haara
ye shor aa ke macha ja-ba-ja diwali ka
kisi ki joru kahe hai pukar ai phadwe
bahu ki naughre bete ke hath ke khadwe
jo ghar mein aawe to sab mil kiye hain sau ghadwe
nikal tu yan se tera kaam yan nahin bhadwe
khuda ne tujh ko to shohda kiya diwali ka
wo us ke jhonte pakad kar kahe hai marunga
tera jo gahna hai sab tar tar utarunga
haweli apni to ek daw par main haarunga
ye sab to haara hun khandi tujh bhi haarunga
chadha hai mujh ko bhi ab to nasha diwali ka
tujhe khabar nahin khandi ye lat wo pyari hai
kisi zamane mein aage hua jo jwari hai
to us ne joru ki nath aur izar utari hai
izar kya hai ki joru talak bhi haari hai
suna ye tu ne nahin majra diwali ka
jahan mein ye jo diwali ki sair hoti hai
to zar se hoti hai aur zar baghair hoti hai
jo haare un pe kharabi ki fair hoti hai
aur un mein aan ke jin jin ki khair hoti hai
to aade aata hai un ke diya diwali ka
ye baaten sach hain na jhut un ko jaaniyo yaro!
nasihaten hain unhen dil se maniyo yaro!
jahan ko jao ye qissa bakhaniyo yaro!
jo jwari ho na bura us ka maniyo yaro
'nazir' aap bhi hai jwariya diwali ka
This is a great bhai shayari english. True lovers of diwali shayari hindi will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore raj name shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close