sang-abaad mein kya main ne dukan kholi hai log hairat-zada aate hain chale jate hain ek kharidar ne puchha ki sabab kya to zaban kholi hai ye hai qarnon se khada soch ki aawaz ka but koi wijdan ka mausam koi ilham ki rut jab bhi aaegi ye dega koi nadida suragh aap idhar aankh uthaen to dikhai dega shisha-e-lamha hai ye jis mein hai sadiyon ki sharab sans ke gamlon mein ye umr-e-do-roza ke gulab jhad fanus hain takhil ke raushan hain charagh aandhiyan aaen to ye aankh mala karte hain roghan-e-fikr ki hiddat se jala karte hain ghaur se dekhiye kya kya na sujhai dega dar-o-diwar pe peshaniyan zakhm-aluda sajde mehrabon mein aaramida o aasuda kanch ka taq hai ye jis mein hai arman ki qatar ye jo alfaz khilaunon ki tarah hain in ki chabiyan nit-nae mafhum ki milti hain hazar ye hai ehsas ka gul-dan ki hain kaliyan jis mein jab ye chatken to chhati his ki zarurat hogi ye wo taswir hai aankhon ki zaban hai jis ki wo padega jise taufiq-e-basirat hogi na-farida hai ye duniya magar ek khaka hai khair-o-shar honge magar surat-e-haalat juda nek-o-bad ki nai farhang murattab hogi roz-o-shab honge yahi subh alag raat juda kya kaha aap ne wo kaun hai! patthar ki tarah wo koi jins nahin hai ki jo bechi jae aks-e-zinda hai wo mera na koi chhu pae wo isi aas pe jita hai ye sab bikhrae koi gahak idhar aaega payambar ki tarah