sanp soya hua hai badi der se sardiyon ki andheri pitari mein kundal sa lipta hua apni iklauti band aankh khole hue pichhli rut ke kisi bin ke sur se sarshaar phan ko uthane ke khwabon se do-chaar hai sanp ko mat jaga, ai shukhandi thahar sanp ek bar bedar ho kar utha to wo aadat se majbur phan ko uthae hue aane wale kisi sard mausam talak baizawi banbiyan dhundhta ghas mein ja-ba-ja laplapata phirega