khabar nahin ki bala-khana-e-salasil mein teri hayat-e-sitam-ashna pe kya guzri khabar nahin ki nigar-e-sahar ki hasrat mein tamam raat charagh-e-wafa pe kya guzri magar wo dekh faza mein ghubar sa uttha wo tere surkh jawanon ke rahwar aae nazar utha ki wo tere watan ke mehnat-kash gale se kohna ghulami ka tauq utar aae ufuq pe subh-e-bahaaran ki aamad aamad hai faza mein surkh phareron ke phul khilte hain zamin khanda-ba-lab hai shafiq man ki tarah ki us ki god mein bichhde rafiq milte hain shikast-e-majlish-o-zindan ka waqt aa pahuncha wo tere khwab haqiqat mein dhaal aae hain nazar utha ki tere des ki fazaon par nai bahaar nai jannaton ke sae mein darida-tan hai wo qahba-e-sim-o-zar jis ko bahut sambhaal ke lae the shatiran-e-kuhan rabab chhed ghazal-khwan ho raqs-farma ho ki jashn-e-nusrat-e-mehnat hai jashn-e-nusrat-e-fan main tujh se dur sahi lekin ai rafiq mere teri wafa ko meri jehd-e-mustaqil ka salam tere watan ko teri arz-e-ba-hamiyyat ko dhadakte khaulte hindostan ke dil ka salam