wo sanp sidhi ka khel tha jo hum ahd-e-tifli mein khelte the agarche sanpon se ghir bhi jate jo koi un mein se das bhi leta to wapas apni jagah pe jate wo zahr hota tha utna halka ki mar na pate phir apni jidd-o-jahd ki khatir hum uth ke qismat ko aazmate aur aisa hota bhi tha ki aksar hamein wo sidhi mili hai jis se bulandiyon par pahunch gae hain magar na jaane ki sanp sidhi ka ab ye kaisa hai khel nikla ki chaar samton mein sanp hain bas jo apne phan ko uthae upar har ek lamha dara rahe hain kahin bhi sidhi nahin hai koi