hun ek arse se koshish mein ki meri adh bani taswir apne paya-e-takmil tak pahunche kai khat khinch rakkhe hain banana chahti hun kuchh hasin chehre uchhalte kudte hanste hue bachchon ke bhi khake magar jab un ke honton par tabassum khinchna chahun to kuchh chehre ubharte hain ki un ki jalti aankhen jin mein aamezish dukhon ki hai sawal-e-adl karti hain wo ek fariyaad karti hain main un masum chehron se kahun bhi kya mere hathon ki larzish salb kar leti hai mera fan main un ke ru-ba-ru hone se darti hun adhuri si meri taswir puri ho nahin pati