nahin ye ahd aur hai saqi ahl-e-europe ka daur hai saqi ki hai koshish unhon ne khatir-khwah pai hai muddaton mein hind ki rah kar ke zahmat jo aae itni dur mahz tarwij-e-baada thi manzur jo musalman hain ummat-e-angrez mai-kashi se unhen nahin parhez baada-khwari ka shaghl ghar ghar hai aur tadi to shir-e-madar hai pahle pasi chamar pite the mardum-e-be-waqar pite the ab to ahl-e-ulum pite hain mahiyan-e-rusum pite hain