abhi to manzar-e-gul dawat-e-nazara tha abhi to dida-o-dil kar-zar-e-hasti hain rah-e-najat ka unwan banne wale the abhi to sham ke is mauj-khez dariya mein nawa-o-saut ka tufan uthne wala tha nihan talatum-e-la-intiha tha sine mein abhi se kyun mere nale labon pe sukh gae abhi se mohr-ba-lab kyun hui nawa-e-kharosh abhi se kyun dil-e-betab tab-e-gham laya abhi to jaan pe bahut qarz the zamane ke