minister mujh ko banwa do khazana-jat ka mamun hukumat hi tumhaari hai to dar kis baat ka mamun main kab kahta hun u-s ki safarat chahiye mujh ko khazane aur khane ki wazarat chahiye mujh ko ye meri chiz hai ghairon ko hathiyane nahin dunga main custam ka idara hath se jaane nahin dunga zaraat mein bahu ko shoaba-e-baghat de do tum aur apni sas ko bhi jail-khana-jat de do tum chachi ko media de do chacha ko railway de do tumhaara jo mukhalif ho tum us ko jail-way de do bahut hi kaiyan ho jo use cia de do jo ho sab se nikamma tum use pia de do wazir-e-ab ka mansab dikhane ke liye rakh lo qalam-dan-e-zaraat samdhiyane ke liye rakh lo minister-health abba ko bana do ab ye surat hai bahut bimar hain un ko dawaon ki zarurat hai jise pine ki aadat ho use pi kar bana dena jo kuchh bhi ban na pae us ko speaker bana dena haj o auqaf bhi koi wazarat mein wazarat hai namazen hi namazen hain tahaarat hi tahaarat hai ye ganga mulk mein ulti hi bahni chahiye mamun ye kabina hamare ghar mein rahni chahiye mamun