dil ko be-tab rakhti hai ek aarzu kam hai ye wusat-e-alam-e-rang-o-bu le chali hai kidhar phir nai justuju ta-ba hadd-e-nazar ud ke jate hain hum wo jo hail the rahon mein shams o qamar ham-safar un ko apna banate hain hum hai zamin parda-e-lala-o-nastaran aasman parda-e-kahkashan hai abhi raaz-e-fitrat hua lakh hum par ayan raaz-e-fitrat nihan ka nihan hai abhi jis ki sadiyon udhar hum ne ki ibtida na-tamam apni wo dastan hai abhi manzilen ud gain ban ke gard-e-safar rahguzaron hi mein karwan hai abhi pi ke nakaamiyon ki sharab-e-kuhan apna zauq-e-tajassus jawan hai abhi hath kate gae jurat-e-shauq par khun-chakan ho ke wo gul-fishan ho gae hairaton ne lagai jo mohr-e-sukut lab khamoshi mein jadu bayan ho gae raste mein jo kohsar aae to hum aise tadpe ki sail-e-rawan ho gae hain azal se zamin ke kure par amir ho ke mahdud hum be-karan ho gae zuaq-e-parwaz bhi dil ki ek jast hai khak se zinat-e-asman ho gae aql-chaalak ne di hai aa kar khabar ek shabistan hai aiwan-e-mahtab mein muntazir hain nigaran-e-atish-badan jagmagati fazaon ki mehrab mein kitne dilkash hasin khwab bedar hain mah o mirrikh ki chashm-e-be-khwab mein khinch phir zulf-e-mashuq-e-nil-gun le le shole ko phir dast-e-betab mein muzhda ho mah-jabinan-e-aflak ko bazm-e-giti ka sahab nazar aa gaya tahniyat husn ko be-naqabi ki do dida-war aa gaya parda-dar aa gaya aasman se gira tha jo kal tut kar wo sitara ba-dosh-e-qamar aa gaya le ke paimana-e-dard-e-dil hath mein mal ke chehre pe khun-e-jigar aa gaya bazm-e-sayyargan-e-falak-sair mein ek hunar-mand sayyara-gar aa gaya shauq ki had magar chand tak to nahin hai abhi rifat-e-asman aur bhi hai surayya ke pichhe surayya rawan kahkashan se pare kahkashan aur bhi jhankti hain fazaon ke pechaak se rang aur nur ki wadiyan aur bhi aur bhi manzilen, aur bhi mushkilen hain abhi ishq ke imtihan aur bhi aaj dast-e-junun par hai sham-e-khirad do jahan jis ke shole se mamur hain le ke aaen payam-e-tulu-e-sahar jitne suraj khalaon mein mastur hain kah do barq-e-tajalli se ho jalwa-gar aaj musa nahin hum sar-e-tur hain
Please share if you liked this!!!