jine se dil bezar hai har sans ek aazar hai kitni hazin hai zindagi andoh-gin hai zindagi wo bazm-e-ahbab-e-watan wo ham-nawayan-e-sukhan aate hain jis dam yaad ab karte hain dil nashad ab guzri hui ranginiyan khoi hui dilchaspiyan pahron rulati hain mujhe akasr satati hain mujhe wo zamzame wo chahchahe wo ruh-afza qahqahe jab dil ko maut aai na thi yun be-hisi chhai na thi college ki rangin wadiyan wo dil nashin aabaadiyan wo nazninan-e-watan zohra-jabinan-e-watan jin mein se ek rangin qaba aatish-nafs aatish-nawa kar ke mohabbat aashna rang-e-aqidat aashna mere dil-e-nakaam ko khun-gashta-e-alam ko dagh-e-judai de gai sari khudai le gai un saaton ki yaad mein un rahaton ki yaad mein maghmum sa rahta hun main gham ki kasak sahta hun main sunta hun jab ahbab se qisse gham-e-ayyam ke betab ho jata hun main aahon mein kho jata hun main phir wo aziz-o-aqriba jo tod kar ahd-e-wafa ahbab se munh mod kar duniya se rishta tod kar hadd-e-ufuq se us taraf rang-e-shafaq se us taraf ek wadi-e-khamosh ki ek aalam-e-behosh ki gahraiyon mein sau gae tarikiyon mein kho gae un ka tasawwur na-gahan leta hai dil mein chutkiyan aur khun rulata hai mujhe be-kal banata hai mujhe wo ganw ki ham-joliyan mafluk dahqan-zadiyan jo dast-e-fart-e-yas se aur yurish-e-aflas se ismat luta kar rah gain khud ko ganwa kar rah gain ghamgin jawani ban gain ruswa kahani ban gain un se kabhi galiyon mein ab hota hun main do-chaar jab nazren jhuka leta hun main khud ko chhupa leta hun main kitni hazin hai zindagi andoh-gin hai zindagi