tira-o-tar fazaon mein sitam-khurda bashar aur kuchh der ujale ke liye tarsega aur kuchh der uthega dil-e-giti se dhuan aur kuchh der fazaon se lahu barsega aur phir ahmarin honton ke tabassum ki tarah raat ke chaak se phutegi shuaon ki lakir aur jamhur ke bedar taawun ke tufail khatm ho jaegi insan ke lahu ki taqtir aur kuchh der bhatak le mere darmanda nadim aur kuchh din abhi zahrab ke saghar pi le nur-afshan chali aati hai urus-e-farda haal tarik-o-sam-afshan sahi lekin ji le