larazte kanpte kamzor budhe suraj ka lahu baha chuka qazzaq-e-afrida-e-shab nai naweli suhagan ki mang ki manind siyah jhil ke pani mein surkh surkh lakir tamam kashtiyan sahil ki samt laut gain wo dur chand gharondon ki chhoti si basti basi hui hai jo khushbu-e-mahi-o-mai mein abhi abhi ye andheron mein dub jaegi parinde apne baseron ki samt ud bhi gae na bansuri hai na bheden hain aur na charwahe ghani ghani si udasi thaki thaki si ye sham zara zara sa ujala hai ab bhi laut chalen isi chatan pe kal koi aur baitha tha isi chatan pe kal koi aur baithega