sarban nikle the jis waqt gharon se apne aashiyanon ko parinde bhi nahin chhodte jab raste raston ki aaghosh hi mein soe the aur hawa sabz pahadon se nahin utri thi aasman par abhi taron ki saji thi mahfil sarban nikle the jis waqt gharon se apne rang khwabon mein abhi ghulte the jism mein wasl ki lazzat ka nasha baqi tha garm bistar mein gul-e-khubi pareshan thi abhi dudh se khub bhara ek katora tha tipai pe dhara sarban nikle the jis waqt safar par apne chaar-su gahri khamoshi thi chandni rit ke sine pe abhi soi thi aur dhire se saba khushbuen bikhraati thi os se bhigi hui ghas ki har patti jhuki jati thi raat ke nil mein kuchh nur ghula jata tha ye jahan aaina-khana sa nazar aata tha sarban gahri khamoshi mein gharon se nikle lau charaghon ki unhen jhankti thi dhul qadmon se lipatte hue ye kahti thi: tum kahin jao na abhi sae ashjar se raston pe utar aae the dar-o-diwar khamoshi se the fariyaad-kunan thin jugali mein magan untniyan ghantiyan jagti thin lazzat-e-wasl se madhosh hawa jagti thi pankhudi honton pe khamosh dua jagti thi chaar-su gahri khamoshi thi faza jagti thi sarban nikle the jis waqt safar par apne