ye meri ghazlen ye meri nazmen tamam teri hikayaten hain ye tazkire tere lutf ke hain ye sher teri shikayaten hain main sab teri nazr kar raha hun ye un zamanon ki saaten hain jo zindagi ke nae safar mein tujhe kisi waqt yaad aaen to ek ek harf ji uthega pahan ke anfas ki qabaen udas tanhaiyon ke lamhon mein nach utthengi ye apsaraen mujhe tere dard ke alawa bhi aur dukh the ye manta hun hazar gham the jo zindagi ki talash mein the ye jaanta hun mujhe khabar thi ki tere aanchal mein dard ki ret chhanta hun magar har ek bar tujh ko chhu kar ye ret rang-e-hina bani hai ye zakhm gulzar ban gae hain ye aah-e-sozan ghata bani hai ye dard mauj-e-saba hua hai ye aag dil ki sada bani hai aur ab ye sari mata-e-hasti ye phul ye zakhm sab tere hain ye dukh ke nauhe ye sukh ke naghme jo kal mere the wo ab tere hain jo teri qurbat teri judai mein kat gae roz-o-shab tere hain wo tera shair tera mughanni wo jis ki baaten ajib si thin wo jis ke andaz khusrawana the aur adaen gharib si thin wo jis ke jine ki khwahishen bhi khud us ke apne nasib si thin na puchh is ka ki wo diwana bahut dinon ka ujad chuka hai wo kohkan to nahin tha lekin kadi chatanon se lad chuka hai wo thak chuka tha aur us ka tesha usi ke sine mein gad chuka hai