sard kohre bhari raat mein aao raat bhar tapen alaw raat bhar sunaen hum apni dastan jis ki ibarat tum ne likhi thi alaw ki garmi mein pighlega mera gham aahista aahista bas tum se iltija hai ki uthna mat bhar lena mujhe apni banhon mein taki main itna ro sakun ki bhig jae tumhaara daman aur tumhaari khamosh aankhon se gir pade do bund aansu alaw ki aanch par