zindagi mahaz sanson ka jod hi nahin lamhon ka khel bhi hai lamhon ke andar kai kai lamhe kuchh khamosh bolte hue lamhe kuchh muntashir kuchh muntazir lamhe lamhon ke andar aur bhi kai kai lamhe kuchh makhsus lamhat khas auqat kuchh zehn mein thahre hue kuchh hath ki rekhaon mein chhupe hue kai yaaden baaten mulaqaten han mulaqaten un modon se jahan se khulte hain aur bhi kai kai mod maqam pe pahunchne ke pahle thak jate hain kai kai mod tut jate hain kai kai mod chhut jate hain kai kai mod wo thake hue mod wo tute hue mod wo chhute hue mod simat jate hain lamhat mein auqat mein zehn mein kahin thahar jaane ko aur maqam maqam kabhi milta bhi hai kya koi rah kisi maqam pe pahunchti bhi hai kya bas rah jate hain lamhe kahin zehn mein zindagi mahaz sanson ka jod hi nahin lamhon ka khel bhi hai