sardi barish ke baad aati hai ek shagufa naya khilati hai din sikudta hai raat badhti hai kohre ki hukmarani hoti hai is mein shabnam tapakti hai gul par is se hota hai khushk gulshan-e-tar is mein aata hai barg-e-gul pe shabab is mein khilte hain har tarah ke gulab ye dikhati hai jab asar apna sara mahaul hota hai thanda jab hawa khub thandi chalti hai jaan aafat mein sab ki aati hai bachche budhe jawan mard o zan sare mahsus karte hain uljhan jism jab un ka tharaata hai dant apne har ek bajata hai ya to kambal mein raat katte hain ya razai mein munh chhupate hain shab ko chulha gharon mein jalta hai din mein suraj se chain milta hai shaal muflar se milti hai rahat coat sweater se badhti hai chahat jab hawa sard sard chalti hai soch 'sahil' ki nazm banti hai