fikr-e-anjam na kar ghum ke sansar mein bhaunk radio t-w mein aur media star mein bhaunk park mein road par aur kucha-o-bazar mein bhaunk sard ho jazba-e-millat to na be-kar mein bhaunk roz be-khauf-o-khatar mahfil-e-aghyar mein bhaunk mauqa mil jae to europe ke seminar mein bhaunk raat-bhar sadh le dam subh ke akhbar mein bhaunk dhaarmik lai mein mahapurshon ke darbar mein bhaunk dum na teri uthe auham-paraston ki taraf aankh teri na rahe ram-paraston ki taraf rukh tera sidha ho islam-paraston ki taraf bhul kar dekh na asnam-paraston ki taraf jab teri bhaunk ki europe se sada aati hai asian qaum teri kitna sukun pati hai