kis se darte ho ki sab log tumhaari hi tarah ek se hain wahi aankhen wahi chehre wahi dil kis pe shak karte ho jitne bhi musafir hain yahan ek hi sab ka qabila wahi paikar wahi gil hum to wo the ki mohabbat tha watira jin ka pyar se milta to dushman ke bhi ho jate the is tawaqqoa pe ki shayad koi mehman aa jae ghar ke darwaze khule chhod ke so jate the hum to aae the ki dekhenge tumhaare qarye wo dar-o-baam ki tarikh ke surat-gar hain wo arine wo masajid wo kalisa wo mahal aur wo log jo har naqsh se afzal-tar hain rome ke but hon ki paris ki ho monalisa keats ki qabr ho ya turbat-e-firdausi ho qartaba ho ki ajanta ki mohanjodado dida-e-shauq na mahrum-e-nazar-bosi ho kis ne duniya ko bhi daulat ki tarah banta hai kis ne taqsim kiye hain ye asase sare kis ne diwar tafawut ki uthai logo kyun samundar ke kinare pe hain pyase sare