hijr ke be-sada jazire par kunj-e-tanhai mein koi ladki khal-o-khad par laga ke aas ka rang chashm-o-lab par saja ke dil ki umang aankhon aankhon mein muskuraati hai sham ki surmai udasi mein apni taswir khud banati hai adh-khule hont nim-wa aankhen be-nawa hont be-sada aankhen aisi khamoshi aisi tanhai khud tamasha hai khud tamashai khud hi taswir khud musawwir hai khud ghazal aur khud hi shaer hai sochti hai ki jis ke hijr mein main shama si subh-o-sham jalti hun mom si raat din pighalti hun kash wo meri raushni dekhe meri aankhon ki an-kahi samjhe mere tan-man ki bebasi dekhe jitni shiddat se khud ko dekhti hun kash wo bhi mujhe kabhi dekhe