kaleja phunk raha hai aur zaban kahne se aari hai bataun kya tumhein kya chiz ye sarmaya-dari hai ye wo aandhi hai jis ki rau mein muflis ka nasheman hai ye wo bijli hai jis ki zad mein har dahqan ka khirman hai ye apne hath mein tahzib ka fanus leti hai magar mazdur ke tan se lahu tak chus leti hai ye insani bala khud khun-e-insani ki gahak hai waba se badh ke mohlik maut se badh kar bhayanak hai na dekhe hain bure is ne na parkhe hain bhale is ne shikanjon mein jakad kar ghunt dale hain gale is ne bala-e-be-aman hai taur hi is ke nirale hain ki is ne ghaiz mein ujde hue ghar phunk dale hain qayamat is ke ghamze jaan-lewa hain sitam is ke hamesha sina-e-muflis pe padte hain qadam is ke kahin ye khun se fard-e-mal-o-zar tahrir karti hai kahin ye haddiyan chun kar mahal tamir karti hai gharibon ka muqaddas khun pi pi kar bahakti hai mahal mein nachti hai raqs-gahon mein thirakti hai ba-zahir chand firaunon ka daman bhar diya is ne magar gul-bagh-e-alam ko jahannam kar diya is ne darinde sar jhuka dete hain loha man kar is ka nazar saffak-tar is ki nafas makruh-tar is ka jidhar chalti hai barbaadi ke saman sath chalte hain nahusat ham-safar hoti hai shaitan sath chalte hain ye akasr lut kar masum insanon ko rahon mein khuda ke zamzame gati hai chhup kar khanqahon mein ye dain hai bhari godon se bachche chhin leti hai ye ghairat chhin leti hai hamiyyat chhin leti hai ye insanon se insanon ki fitrat chhin leti hai ye aashob-e-halakat fitna-e-iskandar-o-dara zamin ke dewtaon ki kaniz-e-anjuman-ara hamesha khun pi kar haddiyon ke rath mein chalti hai zamana chikh uthta hai ye jab pahlu badalti hai garajti gunjti ye aaj bhi maidan mein aati hai magar bad-mast hai har har qadam par ladkhadati hai mubarak dosto labrez hai ab is ka paimana uthao aandhiyan kamzor hai buniyaad-e-kashana