ye samundar mauj-dar-mauj salasil halke gahre sabz nile rang jin par ja-ba-ja chandi ke dhabbe us kinare par gulabi rang mein duba hua ek gol chehra phailte pani mein apne aatishin honton ki surkhi gholta jae main ek sone ki kashti mein sawar un hasin rangon mein madhosh us kinare ki taraf badhta chala jata hun dur sath-e-ab par wo ek baglon ki qatar ye samundar ke rishi gyani jo pani ke har ek sur-tal se aagah hain ab tak ye be-fikri se maujon par sawar tairte jate the kyun phir dafatan toli bana kar ud gae main nazar ke tar par raqsan wo naghmon ke suron mein gum