aah! ganga ye hasin paikar-e-billor tera teri har mauj-e-rawan jalwa-e-maghrur tera jaur-e-maghrib se magar dil hai bahut chur tera jhankta hai tere girdab se nasur tera zulm dhae hain safinon ne sitamgaron ke zakhm ab tak tere sine pe hain patwaron ke mahw rahte the sitare teri mai pine mein chand munh dekhta tha tere hi aaine mein khalwat-e-mahr darakhshan thi tere sine mein teri tabaniyan aati na thin takhmine mein aaj roti hai magar teri jawani tujh ko kha gaya aa ke yahan 'thames' ka pani tujh ko aah ai koh-e-himala ke ghurur-e-sayyal tere daman pe kabhi baithi na thi gard-e-malal munh tera ponchhta tha chand ka simin rumal zakhm sine pe liye aaj hain dhaare tere uf kahan dub gae chand sitare tere reg-e-dozakh ko chhupae hai qaba ke andar haul-nak aaj hai kitna ye dahakta manzar sham hi sham nazar aati hai kyun sahil par? kyun teri maujon se chhante nahin anwar-e-sahar? raushni kyun hui jati hai gurezan tujh se kyun andheron ke hain lipte hue tufan tujh se aaj sahil pe nazar aati hai jalti hui aag aadamiyyat ka sulagta hai hawaon mein suhag aaj hai saz-e-siyasat ka bhayanak sa rag phan uthae hue bal khate hain shoalon ke nag aaj insan ko dasti hain hawaen teri zahr se kitni hain labrez fazaen teri aai hai thames se ek mauj-e-rawan gati hui tujh ko aazadi ke paigham se bahlati hui ruh mai-khana liye shauq ko bahkati hui naz karti hui hansti hui ithlati hui lakh uljha karen zulfon mein ulajhne wale is ke ishwon ko samajhte hain samajhne wale lekin ai bint-e-himala teri azmat ki qasam sail ke sanche mein dhaali hui rifat ki qasam tere jalwon ki qasam, teri latafat ki qasam teri maujon se ubharti hui himmat ki qasam ab teri aankhon ko namnak na hone denge daman-e-naz tera chaak na hone denge