ek aalim-e-din ne kisi shair se kaha ye andaz-e-takallum se ayan hai tere sarqa ashaar mein auron ke tu karta hai tasarruf ye tera takhayyul hai ki 'ghaalib' ka hai charba ye shokhi-o-jiddat teri qudrat se hai bahar ye shai to haqiqat mein buzurgon ka hai wirsa shair ne adab se ye kaha aalim-e-din se taqlid to hai fitrat-e-insan ka taqaza taqlid se aazad nahin aap ka bhi zehn is par bhi 'hanifa'-o-'ghazali' ka hai ghalba taqrir-o-mazamin pe akabir ulma ke hazrat ko bhi kya khub tasarruf ka hai malka aap aur shariat ke ye pur-pech masail kya 'rumi'-o-'raazi' ka nahin ye bhi atiyya qudrat ho tasarruf pe to jaez hai tasarruf nayab hai aqwal-e-salaf ka ye khazina insan ke aamal to niyyat pe hain mauquf niyyat ho agar saf to shar ka nahin shubha aagah nahin aap tawarud ke amal se afsos hai kahte hain tawarud ko bhi sarqa jaez ise rakkha hai har ek ahl-e-nazar ne dhal jae nae jam mein gar baada-e-kohna tanqid karen aap zara soch samajh kar ulta na pade aap ki gardan pe ye harba tanqid ka fan is qadar aasan nahin hai shohrat ka ise aap banaen na zariya