asr-e-hazir mein hai aisa sahib-e-tadbir kaun bazm-e-giti ki badal sakta hai ab taqdir kaun dastan-e-shauq-o-masti ek muamma ban gai surat-e-mansur sar de kar likhe tafsir kaun mar-mita diwana qais ab naz-e-laila kaun uthae kohkan bhi chal basa lata hai ju-e-shir kaun kanpte hain baghban ki sab nigah-e-garm se barq ki zad par karega aashiyan tamir kaun ghaalib-e-atish-nawa kunj-e-lahad mein hai khamosh soz se dil ke bhare naghmat mein tasir kaun hai bahut mushkil badalna mahfil-e-hasti ka rang saz ko rakh kar uthae hath mein shamshir kaun aql-o-dil ki kashmakash mujh ko to le dubi 'munir' kahiye donon mein hai aakhir laeq-e-tazir kaun