bilal 'aswad' kaun sa saz hai jo kanon mein saton sur dahka sakta hai kaun sa manzar aankhon andar sat-rangi sulga sakta hai kya koi dariya aisa bhi hai jis ke sath main bah kar sat ke sat samundar par ho jaen kya koi lamha aisa bhi hai jis ka pura dukh ji lo to sat janam swikar ho jaen kis hairat ko odhe ek ajuba dekhen aur saton ko sath mein paen is dharti ke kis kone par ja kar sat zaminen dhunden aur un sab ki mitti apne hath mein paen kis tare par sidhi rakh kar apne rab ka mimbar dekhen aur phir in ghaibi aankhon se us ke saton ambar dekhen