chhote chhote tyauhaaron ki kaisi khushiyan thin hum phuljhadiyan le kar sahn mein bhage phirte the shab-e-baraat pe main ne bhi mangi thi ek dua us ke honton par bhi kitne harf sunahre the garmi ki tapti do-pahren aur pipal ka ped meri dukhti aankhon mein sukh chain utarte the ek jaisi be maqsad sochen ek jaise hangam umr ke ek hisse mein 'farhat' hum bhi ladke the