masai ke amal mein sari satren kanp uthti hain use to gumbad-e-tahrir se bahar nikalna tha saba-raftar chalna tha kisi sanche mein dhalna tha magar jab soch par qadghan khayalon par rahe pahra kisi an-dekhe ghurfe se gire bijli ka ek kaunda lab-e-fariyaad koi wa kare mumkin nahin rahta masai ke amal mein sari satren kanp uthti hain