zulf mahki hui jagmagati jabin chehra damka hua aankh hai surmagin hath mehndi rachi hont bhi ahmarin husn aur husn ki is ada ki qasam aaj aaegi shayad qayamat kahin aaj har phul jaise kiran phul hai aaj sarkar ka har sukhan phul hai aarzu ek khushbu badan phul hai sath deti hui is faza ki qasam aaj dam legi jalwon ki shiddat kahin husn-e-khud-bin sahi husn-e-tanha nahin shama jaisi bhi ho bin patanga nahin in dinon ahl-e-dil ka bharosa nahin dekhna is machalti haya ki qasam aa na jae kisi ki tabiat kahin aaj jo bhi ada hai wo manzum hai phir bhi ye husn-e-ba-zauq masum hai aaj kaisa zamana hai malum hai waqt ki bahki bahki hawa ki qasam lut na jae gul-e-nau ki azmat kahin