sawal By Nazm << yun hua ek din sahra ka tanha peD >> samundar ki tah mein khazane pade hain magar hum sabhi sahilon par khade hain koi kah raha tha kisi mein dam-kham nahin hai ki in paniyon mein utar kar dafine talashe siwae tumhaare magar tum kahan ho Share on: