yun hua ek din sabz-o-shadab jangal mein sahra uga aur aankhon mein khanjar chubhe dhup ke dil mein mayusiyon ki chali aandhiyan zard hone lagin sabz purwaiyan kho gae mo'atabar rishta-ha-e-tarab chand kumhla gaya raat bujhne lagi os ki bund ko tak rahi thi nazar so gaya tha falak khamushi odh kar