kaisa sunsan hai dasht-e-awargi har taraf dhup hai har taraf tishnagi kaisi be-jaan hai mai-kade ki faza jism ki sansani ruh ki khastagi is do-rahe pe khoe gae hausle is andhere mein gum ho gai zindagi ai gham-e-arzu main bahut thak gaya mujh ko de de wahi meri apni gali chhota-mota magar khub-surat sa ghar ghar ke aangan mein khushbu si phaili hui munh dhulati sawere ki pahli kiran saeban par amar-bel mahki hui khidkiyon par hawaon ki atkheliyan rauzan-e-dar se chhanti hui raushni sham ko halka halka uthta dhuan pas chulhe ke baithi hui lakshmi ek angithi mein koele dahakte hue bartanon ki suhani madhur ragni ras-bhare git masum se qahqahe raat ko chhat pe chhitki hui chandni subh ko apne school jate hue mere nanhe ke chehre pe ek tazgi rishte-nate mulaqaten mehmaniyan dawaten jashn tyauhaar shadi ghami ji mein hai apni aazadiyan bech kar aaj le lun ye pabandiyon ki khushi