wo chalta raha is kurra-e-arz ki gend par ek panw rakkhe dusra panw is ka khala mein… gend aage badhate hue tawazun bhi qaem rahe… qayamat ko tale hue… wo chalta raha zist aur maut ke daere khinchta… ek hi samt mein ek raftar se kisi bazigar ek circus ke nat ki tarah chand suraj sitaron ke gole kabhi donon hathon se un ko uchhaale kabhi apne shanon pe sar par sambhaale hue kabhi gunj mein taliyon ki be-niyazana chalta ho hath patlun ki donon jebon mein dale hue…