chal ki sad-chaak-e-gareban wahan ho aate hain ye jo hangama-e-hasti hai zara der ko chhod ek be-ant masafat ke udhar baithte hain yaad karte hain pari-khanon ki talkhabi ko apni aazurda tamannaon pe ro lete hain gard mein rakkhe hue ashk fasurda chehre gae waqton ka tazabzub nae waqton ka azab aa ki shanon se gira aate hain us par kahin is se pahle ki yahan sail-e-fana aa nikle nam leta hua donon ka usi shor ke bich waqt ke par jahan-zad ki dahliz ke sath ashk rote hain masafat ka bharam rakhte hain chal ki sad-chaak-e-gareban wahan ho aate hain