nadamat ki kadi dhup mein nahae hue zist ke is kade kos padaw mein jahan sipiyan raushni ke dukhul ke liye dariche khola nahin kartin sochta hun is bhari duniya mein tanha khada khakistar hasraton ki ungli thame kumhlae hue arman yun bhi nikal sakte the motiyon ki chamak-damak ki chah mein dar-ba-dar phire baghair rishton ke tane-bane tod kar zaif-o-nazar man bap ki muntazir aankhon ko pichhe chhod ke main ne is bade shahr ke chakachaund ke pichhe bhagte bhagte kya khoya hai kya paya hai saundhi mitti ki mahak taza gandum ki khushbu kuen ka thanda pani mamta ka aanchal man-jaiyon ka pyar bhaiyon ki roab jamane wali mar kitna tarsati hain mujhe aaj kis qadar ghabraata tha main khuban se nazar milate hue aaj ad jata hun main sharm aati nahin mujhe apne gunah chhupate hue un sab ka mujrim hun main apne zamir ke katghare mein khada hun apni hi ruh ko muqayyad kiye hijrat ki salib apne na-tawan kandhon par uthae kilen sath rakhta hun main koi hai jo aa kar mujhe suli par chadhae