koi dastak musalsal hai kahin hai mustaqil aahat hawa ka shor hai shayad kabhi mahsus hota hai sunahre khushk patton mein se guzra sanp ka joda parinda koi sahma hai faza mein sarsarahat hai mere andar bhatakti hai koi aawaz ya shayad bulatin hain mujhe us dam bichhadne walon ki yaaden wo jin par zindagi ek khauf ki surat musallat hai kabhi ke haar ke ya zindagi se ruth baithe jo kabhi yun lagta hai jaise kisi tarik basti mein chali aandhi qaza aai ajal shayad meri khidki talak bistar talak aai sitare dubne ko hain andhera bain karta hai khudaya nind ka ghalba diye ki lau bhadakti hai bujha kar aakhiri lamha