hawa be-mehr thi us raat thandi aur katili sans lena sar se unchi lahr se takkar lagana tha sada koi nahin thi samt ki tayyun mushkil thi nashebi bastiyon mein raste ek dusre mein khatm hote the tujhe kya alam hai wo raat sar-ta-pa shab-e-hijran hamare haq mein kaisi thi lakiren hath ki na-mehrban matha maishat ki tarah tang aur ghar barkat se chehra nur se aari gunahon ka kya maqdur tha achchha amal bhi ho nahin paya kisi budhiya ki kutiya mein diya jhadu na roe ba-wazu ho kar na kuchh tartil na tahlil honton se dua hi phutti lekin hamari tera rozi raat ke har brij par bedar aur choukas thi gahe gahe ek lalkar aati thi azal ki lauh se aur hum manon mitti ke niche sahm jate the hawa be-mehr thi us raat thandi katili sans lena sar se unchi lahr se takkar lagana tha