tujhe e'tibar-e-sahar bhi hai tujhe intizar-e-bahaar bhi magar ai sada-e-umid-e-dil meri zindagi to qalil hai ye shab-e-khizan hai mere guman se ajib-tar koi aas-pas nahin yahan koi shakl ho jo dil-afrin koi nam ho jo mata-e-jaan koi chand zina-e-abr se utar aae aur mujhe tham le koi khwab-ru badi gahri nind se chaunk kar mera nam le sar-e-sham koi sitara jo koi rah-rau kisi rah mein jise ho faqat yahi aarzu mera hath tham ke raushni ke kisi madar mein le chale meri nind chum ke khwab ke kisi margh-zar mein le chale magar ai baha-e-umid-e-dil teri zindagi bhi qalil hai ye khizan ki raat tawil hai