tujh ko chand nahin kah sakta kyunki ye chand to is dharti ke chaar taraf nacha karta hai main albatta diwana hun tere gird phira karta hun jaise zamin ke gird ye chand aur suraj ke gird apni zamin nacha karti hai lekin main bhi chand nahin hun main baadal ka ek tukda hun jis ko teri qurbat ki kirnon ne utha kar zulfon jaisi narm hawa ko saunp diya hai lekin baadal ki qismat kya tere firaq ki garmi mujh ko pighla kar phir aansu ke ek qatre mein tabdil karegi tujh ko charagh nahin kah sakta kyunki charagh to sham-e-ghariban ke sahra mein subh-e-watan ka naqsh-e-qadam hai mujh mein itna nur kahan hai main to ek daryuza-gar hun suraj chand sitaron ke darwazon par dastak deta hun ek kiran do ek dahakta angaron do kabhi kabhi mil jata hai aur kabhi ye daryuza-gar khali hath chala aata hai main to ek daryuza-gar hun kaliyon ke darwazon par dastak deta hun ek chutki bhar rang aur use khushbu de lafzon ka kashkol liye phirta rahta hun kabhi kabhi kuchh mil jata hai aur kabhi ye daryuza-gar chaak-gareban phulon ko khud apne gareban ka ek tukda de aata hai! tujh ko khwab nahin kah sakta khwabon ka kya khizan-rasida patti ke manind hawa ki thes se bhi tuta karte hain lekin main bhi khwab nahin hun khwab to wo hai jis ko koi dekh raha ho main ek did hun ek gita hun ek injil hun ek quran hun rahguzar par pada hua hun sud o ziyan ki is duniya mein kise bhala itni fursat hai mujhe utha kar jo ye dekhe mujh mein aakhir kya likkha hai tujh ko raaz nahin kah sakta raaz to akasr khul jate hain lekin main bhi raaz nahin hun main ek ghamgin aaina hun meri nazmon ka har misra is aaine ka jauhar hai aaine mein jhank kar log apne ko dekh rahe hain aaine ko kis ne dekha tu hi batla tere liye main laun kahan se ab tashbihen jis tashbih ko chhuta hun wo jhijhak ke pichhe hat jati hai kah uthti hai main naqis hun jaan-e-tamanna tera shaer tere qaside ki tashbib ki wadi hi mein aawara hai