aag ugli hai ki barsae hain phul jam khankae hain kitne baham wajd mein jism bhi hai ruh bhi hai aankh ke sath machalte hain dil ruh-e-mausiqi mushakhkhas goya khud mughanni pe ghina ka hai guman dudhiya jism sunahri poshak nur-e-mahtab se uthta hai dhuan phail jata hai fazaon mein wahi naghma-o-lahn ki khushbu ban kar khud hai makhmur har aahang-o-ada khud tamasha bhi tamashai hai hai kisi kohna pari-zad ki ruh pae-gul-gasht jo aaj aai hai bis sadiyon se thi aasuda-e-khwab jagi hai naghme ka jadu ban kar nim ka qalb nazare se do-nim saz-o-awaz mein sadiyon ka khumar naghma-o-nur se shab hai bedar hama-tan-gosh hai zarra zarra kaun hai jo hama-tan saz nahin kis jagah dost ki aawaz nahin