kuchh mahakte hue sandal ke darakht gungunate hain sukhan-saz hain afsun-gar hain kitne hi mar-e-siyah un ke qadmon se lipatne ke liye bilbilate hain tadapte hain machal jate hain tairte shauq ke dariyaon mein hain dub jate hain ubhar aate hain aarzuon ki hawa kitne bhanwar bunti hai hosh ke khwab tilismon ki ghata bunti hai aur sandal ke darakht yunhi mahke hue khamosh khade rahte hain aur har samt chala karta hai jadu un ka sarsaraati hai hawa lahlaha uthti hain shakhen in ki arghawani si chhidak jati hai khwab ka sa wo salona manzar az-ufuq ta-ba-ufuq kaise suhane lamhe har-nafas mauj-e-sharab par-e-parwaz takhayyul khwabida tasawwur bedar chashm-e-nargis nigaran chashm-e-fusun-gar bimar