zehn jab tak hai khayalat ki zanjir kahan katti hai hont jab tak hain sawalat ki zanjir kahan katti hai bahs karte raho likhte raho nazmen ghazlen zehn par sadiyon se tari hai jo majlis ki faza is khunuk aanch se kya pighlegi soch lene hi se haalat ki zanjir kahan katti hai nind mein dubi hui aankhon se wabasta khwab tez kirnon ki sinanon pe hi ruswa sar-e-am ye shahid apni salibon se palat aate hain dil mein har sham subh hoti hai magar raat ki zanjir kahan katti hai din guzar jata hai be-faiz kad-o-kawish mein ek an-dekhe jahannam ki tab-o-tabish mein jism aur jaan ki tag-o-taz ki har pursish mein dard-o-gham hasrat-o-mahrumi ki har kahish mein talab-o-tark-e-talab silsila-e-be-payan marg hi zist ka unwan hai har khun-shuda khwahish mein gham se bhagen bhi to faryaad-o-shikayat ki zanjir kahan katti hai waqt wo daulat-e-nayab hai aata nahin hath hum mashinon ki tarah jite hain pabandi-e-auqat ke sath waqt be-kar guzarta hi chala jata hai kursiyon mezon se be-mani mulaqaton mein sainkadon bar ki agli hui dohrai hui baaton mein mandgi rahne ki tamanna ki mudaraaton mein shikam-o-jaan ki ibaadat ki zanjir kahan katti hai subh se sham talak itne khuda milte hain har kafir ko sajda-e-shukr se inkar ki mohlat nahin milne pati sainkadon lakhon khudaon ki nazar se chhup kar khud se mil lene ki rukhsat nahin milne pati khud-paraston se bhi taat ki zanjir kahan katti hai raat aati hai to dil kahta hai hum apne hain khalwat-e-khwab mein duniya se kinara kar len kal bhi dena hai lahu apna dil-o-dida ki jholi bhar len jism ke shor se aur ruh ki fariyaad se dam ghutta hai din ke be-kar khayalat ki zanjir kahan katti hai be-niyazana bhi jina hai faqat ek guman fikr-e-maujud ko chhoden to gham-e-na-maujud sath har sans ke hai silsila-e-hast-o-bud gham-e-afaq ko thukraen karen tark-e-jahan phir bhi ye fikr ki jine ka ho koi unwan be-niyazi se gham-e-zat ki zanjir kahan katti hai zehn mein andhe aqidon ki siyahi bhar lo taki is nagri mein kabhi afkar ke shoalon ka guzar ho na sake jabr ka hukm suno honton ko apne si lo taki un rahon se kabhi lafzon ka safar ho na sake zehn-o-lab phir bhi nahin chup hote un ke khamosh sawalat ki pech-dar-pech khayalat ki zanjir kahan katti hai