agar main kahta hun jina hai qaid-e-tanhai to zindagani ki qimat pe harf kyun aae agar na aaya mujhe sazgar wasl-e-habib to e'timad-e-mohabbat pe harf kyun aae agar mile mujhe wirse mein kuchh shikasta khandar to kaenat ki wusat pe harf kyun aae agar dikhai diye mujh ko aadmi aaseb to asr-e-nau ki basirat pe harf kyun aae agar na rah-e-yaqin pa saki meri tashkik to fikr-o-fan ki sharafat pe harf kyun aae agar khizan hi mili mujh ko aankh khulne par to fasl-e-gul ki amanat pe harf kyun aae agar mere gham-e-be-nam ko mili wahshat to bazm-e-jashn-e-masarrat pe harf kyun aae main apne ahd ka hun nauha-khwan na dije dad qasida-khwan ki riwayat pe harf kyun aae agar hunar hai mera jins-e-kam-ayar to ho zamir-o-dil ki tijarat pe harf kyun aae main apne khwabon ka bhatka hua musafir hun agar mujhe na mili manzil-e-najat to kya main apni ruh ki tanhaiyon ka shoala hun hawa-e-dahr mein hasil nahin sabaat to kya main apni turfagi-e-taba ka to pi lun zahr jo dastaras mein nahin chashma-e-hayat to kya main apni zat ki khalwat ka hairati hi sahi jo mujh pe khul na saka raaz-e-kaenat to kya main apne khun ke charaghon ko raushni de dun sahar-nasib na ho pae meri raat to kya main aap se na kahunga ki hai ziyan jaan ka khayal-e-shisha-e-dil sang-azma na kare main aap se nahin chahunga dad-e-jaan-bazi dua hai aap ko gham dard-ashna na kare main aap se nahin mangunga khun-baha-e-wafa koi to tark rah-o-rasm-e-ashiqana kare main aap ko na dikhaunga apne zakhmi khwab khalal ho aap ke aaram mein khuda na kare magar zamin prometheus ko kyun roke jo wo jahan ke khudaon se jang karta hai use na maut ke aaseb pas aane den jo aasmanon se le kar hayat utarta hai hai dar pighalne ka dekhen idhar na barf ke but jo koi shoala-e-uryan ye hath dharta hai azab us pe karen kam na qahr ke dewta jo apni aag mein jal kar bhi raqs karta hai ise na mane kabhi be-hisi hayat-parast har ek sans pe jo zinda ho ke marta hai karen na aap mudawa-e-soz-e-atish-e-gham ye zulm mujh pe to har roz-o-shab guzarta hai salamat aap ka iman main to hun kafir har ek waza se apni hayat karta hai