mai-e-taza-o-nab hasil nahin hai to kar lunga durd-e-tah-e-jam pi kar guzara! mujhe ek nau-ras kali ne ye tana diya tha: teri umr ka ye taqaza hai tu aise phulon ka bhonra bane jin mein do chaar din ki mahak rah gai ho ye sach hai wo taswir jis ke sabhi rang dhundla gae hon nae rang us mein bhare kaun la kar nae rang lae kahan se? tere aasman ka, main ek taza warid sitara sahi jaanta hun ki, is aasman par bahut chand, suraj, sitare ubhar kar jo ek bar dube to ubhre nahin hain faramosh-gari ke nile ufuq se, unhi ki tarah main bhi na-tajarba-kar insan ki himmat se aage badha hun, jo aage badha hun, to dil mein hawas ye nahin hai ki ab se hazaron baras baad ki dastanon mein zinda ho ek bar phir nam mera! ye sham-e-dil-awez to ek bahana hai, ek koshish-e-na-tawan hai shabab-e-gurezan ko jate hue rokne ki wagarna hai kafi mujhe ek pal ka sahaara, hun ek taza warid, musibat ka mara main kar lunga durd-e-tah-e-jam pi kar guzara!
This is a great bhangra shayari. True lovers of urdu shayari kaifi azmi will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this dard shayari 2017 is truly a work of art. Please share if you liked this!!!