ye aae din ke hangame ye jab dekho safar karna yahan jaana wahan jaana ise milna use milna hamare sare lamhe aise lagte hain ki jaise train ke chalne se pahle railway-station par jaldi jaldi apne dabbe dhundte koi musafir hon jinhen kab sans bhi lene ki mohlat hai kabhi lagta hai tum ko mujh se mujh ko tum se milne ka khayal aae kahan itni bhi fursat hai magar jab sang-dil duniya mera dil todti hai to koi ummid chalte chalte jab munh modti hai to kabhi koi khushi ka phul jab is dil mein khilta hai kabhi jab mujh ko apne zehn se koi khayal inam milta hai kabhi jab ek tamanna puri hone se ye dil khali sa hota hai kabhi jab dard aa ke palkon pe moti pirota hai to ye ehsas hota hai khushi ho gham ho hairat ho koi jazba ho is mein jab kahin ek mod aae to wahan pal bhar ko sari duniya pichhe chhut jati hai wahan pal bhar ko is kath-putli jaisi zindagi ki dori tut jati hai mujhe us mod par bas ek tumhaari hi zarurat hai magar ye zindagi ki khubsurat ek haqiqat hai ki meri rah mein jab aisa koi mod aaya hai to har us mod par main ne tumhein ham-rah paya hai