meri sanson mein soya hua aasman jag utha khun ki raftar ko chir kar gir padi raushni zindagi! zindagi is zamin par zamin par samundar samundar ka shaffaf pani rawani rawani ki ungli pakad kar kai rang maujon ka aahang ban kar chale apne hone ka nairang ban kar chale sat patal ki kokh hai phuti anjaan sadiyan, yugon ki tapassya badan ke ghane jangalon mein wo rishiyon ka, muniyon ka barson ka tap wo bhule zamanon ke mubham kinare wo manus reton pe banti bigadti kai saaten, ranjishen, rahaten, aaj phir se palat aai hain mujh mein be-sakhta! meri sanson ke andar chamakte sitare utar ab bujhi raat ki ye qaba jagmaga ki lahu mein hawaon ka phera hua khala ke dahan mein sawera hua meri ruh ka rang tera hua